Navratri Day 6: Katyayani Mata – Shakti aur Shraddha ka Milan
Aaj Navratri ka chhatha din hai, jisme hum Maa Katyayani ka poojan karte hain. Maa Katyayani ko "warrior goddess" ke roop mein jaana jaata hai. Unka janm asur Mahishasura ka vadh karne ke liye hua tha. Unka roop shaktishaali hai, lekin usme mamta bhi hai. Unki pooja se hum apne jeevan ki negativity aur dusht vicharon par vijay paate hain.
Maa Katyayani ka Varnan
Maa Katyayani chaar haathon wali devi hain. Ek haath mein talwar, doosre mein lotus, teesra haath abhaya mudra mein aur chautha haath varada mudra mein hota hai. Unka vaahan sher hai, jo unki himmat aur shakti ka prateek hai.
Bhog aur Vrat Bhojan
Is din unhe shahad (honey) ka bhog lagaya jaata hai. Shahad mein prakritik sweetness hoti hai, jo maa ke prem aur daya ka sanket hai.
Agar aap vrat rakh rahe hain, toh aaj ke din yeh healthy aur tasty recipes try kar sakte hain:
- Sabudana Khichdi – swadishta aur light, vrat ke liye perfect.
- Lauki ka Halwa – low-fat dudhi halwa, jise aap jaggery se bana sakte hain.
- Kuttu ke Pakode – crunchy, spicy aur vrat-friendly.
Bhakti aur Sadhna
Maa Katyayani ko man se yaad karna hi kaafi hai, lekin agar aap mantra uchcharan karna chahein, toh yeh mantra bol sakte hain:
"Om Devi Katyayanyai Namah"
Yeh mantra aapke andar ke dar ko door karta hai aur aapko spiritual urja se bhar deta hai.
Aaj ka Sankalp
Navratri ke is din par hum sankalp lein ki hum apne andar ki shakshiyat, self-belief aur saahas ko jagayein. Katyayani Maa humein yaad dilati hain ki hum apne jeevan ke har andhkaar par prakash se vijay pa sakte hain.
Shubh Navratri! Jai Maa Katyayani!
Aapke Ek Rasoi Aisi Bhi ke rasoi mein aaj kya ban raha hai? Batao toh sahi!
Comments