IIT Baba: Sach Ya Dhoka?

IIT Baba: Sach Ya Dhoka?

Aaj kal IIT Baba ka naam bhut media mai charcha ka vishay bana hua hai. Ek IITian hone ka tag lekar unhone apne aap ko spiritual guru bana liya hai. Par asal sach kuch aur hi hai.

Spirituality Ka Sirf Dikhawa

IIT Baba apne aap ko gyaani aur spiritual guru batate hai, lekin unka knowledge na toh Hindu mythology ka hai aur na hi sachchi spiritual teachings ka. Woh har cheez ko science aur physics ke concepts se jodne ki koshish karte hai, jo spirituality ke asli arth ko distort kar deta hai.

Mansik Pareshaniyon Se Jujhta Hua Insaan

Sach toh yeh hai ki IIT Baba apni mann ki shanti kho chuke hai. Unhe childhood trauma ka bohot ghera asar hua hai, jiska unki mental health pe bura prabhav pada hai. Reports ke mutabik, woh regular basis pe ganja consume karte hai, jo unki halat aur bigaad raha hai.

Hallucination Aur Asli Jindagi Se Door

Ganja ke nashay mein woh aksar hallucinate karte hai aur reality se door chale jate hai. Unka "Baba" wala image sirf media ka hype hai, jo unki mental health pe aur bhi bura asar daal raha hai.

Jaipur Police Ki Giraftari

Haal hi mein, IIT Baba ko Jaipur police ne ganja possession ke case mein arrest kiya, jo unke troubled mental state ka proof hai. Unhe spirituality se zyada psychological treatment aur rehabilitation centre ki zaroorat hai, taki woh apne mann ka santulan wapas paa sakein.

IIT Baba ki kahani ek chetavni hai ki sirf "guru" ya "baba" ka label sab kuch nahi hota — asli spirituality andar ki shanti aur sudhar se aati hai, na ki nashili cheezon se.

Comments