Navratri Day 2: Maa Brahmacharini Ka Aashirwad
Navratri ke dusre din, hum Maa Brahmacharini ki upasana karte hain. Yeh Maa Durga ka doosra roop hai jo tapasya ka pratik hai. Maa Brahmacharini shanti, sanyam aur gyaan ka vardaan deti hain. Unka roop ek tapasvini ka hai, jinhone bhagwan Shiva ko pati ke roop me prapt karne ke liye kathor tapasya ki thi.
Maa Brahmacharini ka Varnan
Maa Brahmacharini safed vastra dharan karti hain, haath me japmala aur kamandal rakhte hain. Yeh roop humein sikhata hai ki jeevan me dhairya, shraddha aur samarpan bahut zaroori hain. Jo bhakt Maa ki sachi bhakti se aradhana karte hain, unhe gyaan aur sahan shakti ka vardaan milta hai.
Is Din Ka Mahatva
Navratri ka dusra din atma-vishwas aur dhairya ka pratik hai. Yeh din humein sikhata hai ki hum apni manzil tak pahunchne ke liye kasht aur tapasya se darna nahi chahiye. Agar hum apne lakshya ke prati samarpit hain, toh safalta avashya milti hai.
Pooja Vidhi
Maa Brahmacharini ki pooja me safed phoolon ka vishesh mahatva hai. Unhe gur aur mishri ka bhog lagaya jata hai, jo saubhagya aur sukh ka pratik hai.
Pooja Ke Steps:
-
Subah jaldi uthkar snan karein aur safed vastra dharan karein.
-
Maa Brahmacharini ki murti ya chitra ke samne deep jalaayen.
-
Safed phool chadhakar, unki pooja karein aur unke mantra ka jaap karein:
“ॐ देवी ब्रह्मचारिण्यै नमः”
-
Bhog me gur, mishri ya kheer chadhayein.
-
Dhyan aur jap karein aur Maa se aashirwad prapt karein.
Aaj Ka Sankalp
Aaj ke din humein apne jeevan me dhairya aur samarpan ka sankalp lena chahiye. Maa Brahmacharini ka aashirwad un sabhi par bana rahe jo sache mann se mehnat karte hain aur apni manzil tak pahunchne ka sankalp rakhte hain.
Navratri ka yeh pavitra samay humein andar se shuddh karne aur apne jeevan me naye utsah bharne ka avsar deta hai. Maa ki kripa sab par bani rahe!
Jai Maa Brahmacharini!
Comments