Navratri Day 4: Maa Kushmanda Ki Pooja Aur Unka Mahatva
Navratri ka chautha din Maa Kushmanda ko samarpit hota hai. Maa Kushmanda ko adi shakti ka roop mana jata hai jo sampoorn brahmand ki rachna karti hain. Unka naam "Kushmanda" isliye pada kyunki kaha jata hai ki unhone apni hasi se is srishti ka nirmaan kiya tha. Maa ka swaroop ati tejomay hai aur unke aath bhujaayein hoti hain, jisme ve shankh, chakra, gada, dhanush, kamandal, mala, kalash aur kamal pushp dharan karti hain. Maa apne bhakton ko aarogya aur samriddhi ka vardaan deti hain.
Maa Kushmanda Ki Pooja Vidhi
- Subah jaldi uthkar snaan karein aur saaf kapde pehnein.
- Mandir ya pooja sthaan ko saaf karein aur maa ki murti ya tasveer sthapit karein.
- Maa ko safed phool, dhoop, diya aur roli akshat arpit karein.
- Maa ko malpua ya kheer ka bhog lagayein, kyunki ye unka priy bhojan hai.
- Durga Saptashati ka paath karein ya maa Kushmanda ka mantra jaap karein: “Om Devi Kushmandayai Namah”
- Aarti karein aur maa se sukh-samriddhi ki prarthna karein.
Maa Kushmanda Ka Mahatva
Maa Kushmanda hume jeevan me unnati aur roshni dene wali devi hain. Jo log dukh, kasht ya bimariyon se peedit hote hain, unhe maa ki pooja zaroor karni chahiye. Maa ki kripa se rogon ka nivaran hota hai aur mann me umang aati hai.
Aaj ke din maa ko dahi ya malpua ka bhog lagane ka prachalan hai, jo jeevan me mithaas laata hai.
Navratri ka chautha din apne jeevan me nayi urja lane ka samay hai. Maa Kushmanda ki pooja karke hum sabhi apni zindagi me naye aasha ki roshni bhar sakte hain. Jai Mata Di!
Comments